Bhari Mehfil Lyrics

Bhari Mehfil Lyrics

Singer Ikka, Sunidhi Chauhan
Singer Ikka
Music Sanjoy
Song Writer Ikka

Na bhari mehfilon mein bulaya karo
Tanhaiyan naraz ho jati hain
Neend aankhon se ojhal nasha ho gaya
Par woh aaram se kitne so jati hai

Tumne dillagi ki naamajein padhayi
Humne to wafa mein wafa hi na payi
Hum patjhad ke patton se hai bikhre bikhre
Mila sard mausam aur uski ruswahi

Hum ashko mein apne hi dube rahe
Na kinaro se usne aawazein lagayi
Hum reh reh kaid apni hi siskiyo mein
Kya tu rone ki deta humko kamayi

Haan sote ke fir se woh sapno mein aayi
Phir aankhein khuli aur wo kho jaati hain
Neend aankhon se ojhal nasha ho gaya
Par woh aaram se kitne so jati hai

Tumko pata na ke kya humpe beete
Khudse tum puchho ke kya keh diya
Shaq se na chalti mohabbat ki sansein
Jaane bina bewafa keh diya

Main teri ki teri hoon teri kasam
Tera dil todu aisa gunah na kiya
Bayaan na kar paaun ke kitna asar
Dard jo tune wafa ko diya

Taqlifon mein din mere dhalte rahe
Aur ashqon mein shaamein guzar jati hain
Unse khafa par na unko khabar
Ye deewani bhi uski na so paati hai

Tanha raaton mein ek naam yaad aata hai
Kabhi subah kabhi shaam yaad aata hai
Jab sochte hai kar le dubara se mohabbat
Teri mohabbat ka anjaam yaad aata hai

Zakhm dekar na pooch mere dard ki shiddat
Dard to dard kam jyada kya
Dil pe haath rakh ke khudse se puch
Kya main tujhe yaad nahi aata kya

Mila sukoon mere dil ko jab jalayi
Jo sambhal lagi photo yaar ki
Kokhle the rookhe murjha se gaye
Us bete ko na mila dhoop pyar ki

Raatein maangti saath meri aankhon se
Bahot bhari chadha neend ka jo karja hai
Haan yaad aaya tere jo the aakhri alfaj
Jee sake to jee lena mar jaye to hi achha hei

Wo har kone mein humko dekhe sunaye
Na awaaz khamosh ho paati hai
Neend aankhon se ojhal nasha ho gaya
Par woh aaram se kitne so jati hai

Sharing Is Caring:

Leave a Comment